Daanton mey phansa woh peela dupatta


[Image edited with Photoshop. Hope you will forgive me for this liberty, Parul]

Phir sooch kar kaisa lagta hai…
Saawan ki aadhi bheegi galiyon se hokar,
Kabhi kisi ganney ki khet mey hilti lahar se hokar,
Kabhi kisi aam ke bagiye mey sar ko chhupakar,
Daanton mey phansa woh dupatta aaj bhi peela hai,
Par hanstey chehrey wali woh pari aaj kanhi ghum hai,
Woh aam ki bagiya aaj maatam main sunn hai.

Aaj bhi yaad hai woh chaney ke chhilkey
Jo khaye thhey hamney saath milkey,
Woh dhool mey gira angoor ka dana,
Golgappey khatey wakt woh sharmana,
Us gali kinarey dheemi aanch mey tapti
Bhelpuri ka makkhan, Kumar Sanu ka gana.

Dhokha diya baadal ney jab phir bijli karki,
Woh maatam ka shor phir simat kar aaya,
Daanton mey phansa dupatta ab sar pey sajaya,
Bedard us baarish ney usey bhi bhigaya.
Us badan ki failti chingari aaj bhi tapti hai kahin andar,
Jalti hai kabhi yaad banker, satati hai kabhi adhoora khaab sa.

Arsa beeta. Peela dupatta aaj na jaaney kehan hai,
Shayad kisi khirki mey pardey ki terah failti hai aaj,
Shayad kisi bazaar mein raddi bikti hai.
Shayad kisi aashiq ki chhaati pey lipti hai,
Kafan bankar kisi adhurey khaab sey chipti hai.

Dedicated to Parul Bali. See this for more.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *