Woh aag bhi kaisi jo sulagti nahi aandhi mein?

Woh aag bhi kaisi jo sulagti nahi aandhi mein?
Jo pighal kar sinkur jaye, raakh main sama jaye?
Jo jaga na sakey merey andar tapti krodh ko?
Jo vasm hokar udey, aankhon mein ghuskar rulaye –
Nahi par hilakar merey dil ko,
Bus mano ek chinti ghus baitha ho kisi kamzori par,
Aur kaat raha ho mujhey andar hi andar?
Kaisa hai woh chot jiska jawab na main de sakoon?
Kaisi hai woh jwala jo bujhkar sulag na sakey?
Kis hijrey ki chot se mere asoon nikley?
Uth ja aye andhkar key chaaploos,
Zara dikha ki terey andar kuchh dhadakta bhi hai!

________________________________________________

Language: Hindi
Date: 16 March, 2006
Place: Bangalore, Webmarketing.com office
Occasion: Mail exchange with friend

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *