Pardesi, pardesi, jaana nehi

Ek haseen shaam ki kahani,
Raja ke haathon mein rani,
Ek zaalim sooraj loafer ki tarah pichhey paraa,
Bayen se kisi kaminey ki seeti,
Dayen mein pallu pichhey koi thahakey chada.
Bedard shaam, dusman duniya,
Haseena ko haath liye kisi chhaawni mein main chala,
Kuchh meethi baat karenge,
Ek duje ko aankhon mein lenge.
Lambi kwahish thi,
Do chaar lamhe yun hi saath guzaroon,
Do chaar yadon ko kismat sey churaoon,
Ki kal jab nazrein kuchh kamzor parengi,
Chandi ke bartan sa ghiskey yahdoon ko chamkaoon.

Karah raha hai aaj woh shaam,
Chandi ka chamak aaj pheeka hai,
Kamzor yaadein kuch na seekha hai,
Shaayad.
Shaayad kehin sey mere kaano mein kuch goonja hai,
Woh door galiyon ki deewaron sey takrati kisi Alka ki vaani,
Yadoon mein jawani, kisi bedardi ki kahani,
“Pardesi, pardesi, jaana nehi”
Jana nehi.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *