Maaf karey mujhey mere khuda

Maaf karey mujhey mere khuda,
Aaj barson baad dil mein ek dard sa utha hai,
Kambakht dard ney kuch behaal sa loota hai,
Kuchh is terah mera tan man bheega hai aaj,
Ki mera zarra zarra kaamp reha,
Kuch zukham jamraj sa paley laga hai,
Meri khokhli is zindagi mein kuchh bhuchaal sa utha hai,
Ek aandhi jaagi hai, ek kahar sa utra hai,
Kisi gandey chuhey ney mere jismo-jaan ko kuch is terah kutra hai,
Ki chin gaya hai woh eklota khaab…
Woh khaab jo aaj
Sawan mein bheega kampta ek parinda hai,
Maut chorkar bhaga, maut sharminda hai,
Par dil mein aakhri chingari aaj bhi zinda hai…
Naraaz hoon aaj, merey maula tu maaf karey,
Main kya chahoon ki jab main kagaar par baitha hoon,
Hasti ki main kya karoon fikr, meri khudki jab mit baithi hai,
Auron ki main kya karoon fikr, auron nein bhula rekkha hai,
Kyon na chahoon ki qayamat ki raat mera kafn lekar aaye,
Ki mit jaye sabki hasti, saath khuda key paas jaye?

_____________________________________________
Language: Udru, Hindi
Date:  20 March, 2006
Place: Ulsoor, Bangalore
Occasion: Who needs occasions when you have inspiration?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *