Kinarey wala sofa

Kinerey wala sofa aaj soona rehta hai,
Subah ko ramu kaka kuch pochha kartey hain,
Shaam tak dhool mein sama jata hai.
Shayad aaj bhi gaddey par kuch chhap chhoota hai,
Shayad aaj bhi rajnigandha murjha pada hai,
Shayad aaj bhi harey churi ka kaanch gira hai,
Shayad.
To aaj, kinarey waley sofey pey gaya,
Dil ki dhadkan jyon ka tyon tha,
Na asmaan sey bijli giri,
Na ped sey nariyal gira.
Haath mein ek khali botal chamak raha hai,
Saamney meri TV par ek chehra nazar aaya,
Kahin dekha hai? Kahin dekha hai.
Dekha hai isi kamrey mein,
Pakda hai inhi hathon mein,
Chooma hai apney hooton sey,
Bithaya hai isi kinarey waley sofey pey.
Wohi kisi namakool shaayar key janazey pey taarif si khokli hansi,
Wohi baisakh key aasman sa bedaag chehra,
Aaj kisi ki kaali daari ko khanroch raha hai,
Kisi aur sofey par,
Isi shahar kinarey.

___________________________________________________

Vivek Oberoi thinking of Aishwarya and Abhishek.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *