Category Archives: Aishwarya

???? ????? ???? ???????

???? ??? ?? ???? ?? ????? ?? ???,
??? ?? ???, ??? ?? ?????? ?????,
??? ?? ?? ?? ??? ????? ?? ?? ???,
?????? ?? ??? ????? ?? ???,
?????? ?? ??? ??? ????? ?? ???.
???, ?? ?? ?????? ?? ?? ??
????? ?? ??? ???,
???? ?? ?? ?? ?? ??? ?????? ???
??? ?? ??? ?? ?? ?????
?? ???? ??????? ????? ???
???? ?? ?? ??? ?? ????
?? ???? ?? ???????
???? ??? ?? ????? ????
?? ?? ???? ????? ?? ?????
?? ????? ???, ?? ??? ???????,
???? ?? ?? ???, ?? ???? ??????,
?? ?? ???? ????? ??? ?????
??? ?? ?? ??? ??????,
?? ??? ??? ?? ?????? ????? ??? ?? ????? ????.
?? ?? ?? ???? ????? ??? ?????? ???,
???? ??????? ?? ????? ??? ????.

[Transliteration in English is given below]

Merey dil mein chubhi hai khanjar ki terah,
Woh ek nazar, woh ek khaulti nigah,
Woh ek pal ka waar arsa ban rah gaya,
Chamakti hai kabhi khanjar ki setah,
Tapakti hai khoon kabhi baarish ki terah.
Jao, keh do duniya sey ke aaj
Marney ki chaah nahi,
Puchho ki ek aur pal kehan bikta hai?
Kehan hai woh Yam ki patri
Jo meri zindagi likhta hai?
Kehan hai woh vaidh ki booti
Jo saans ko kheenchey?
Kidhar gayi woh tapti zameen
Jo tha merey pairon ke nichey?
Aaj bhikhari hoon, aaj hoon darinda,
Chahey jo bhi hoon, aaj rahoon zinda,
Ki woh neeli aankhon wali zalim
Phir sey ek nazar ghumaye,
Aur yeh dil par chipka khanjar kuchh aur andar jaaye.
Ki woh kajraari aankhon wali saamney aaye,
Merey zindagi ki kehani likh jaaye.

This poem was written for Aishwarya and  Kajra re community in Orkut.

Kinarey wala sofa

Kinerey wala sofa aaj soona rehta hai,
Subah ko ramu kaka kuch pochha kartey hain,
Shaam tak dhool mein sama jata hai.
Shayad aaj bhi gaddey par kuch chhap chhoota hai,
Shayad aaj bhi rajnigandha murjha pada hai,
Shayad aaj bhi harey churi ka kaanch gira hai,
Shayad.
To aaj, kinarey waley sofey pey gaya,
Dil ki dhadkan jyon ka tyon tha,
Na asmaan sey bijli giri,
Na ped sey nariyal gira.
Haath mein ek khali botal chamak raha hai,
Saamney meri TV par ek chehra nazar aaya,
Kahin dekha hai? Kahin dekha hai.
Dekha hai isi kamrey mein,
Pakda hai inhi hathon mein,
Chooma hai apney hooton sey,
Bithaya hai isi kinarey waley sofey pey.
Wohi kisi namakool shaayar key janazey pey taarif si khokli hansi,
Wohi baisakh key aasman sa bedaag chehra,
Aaj kisi ki kaali daari ko khanroch raha hai,
Kisi aur sofey par,
Isi shahar kinarey.

___________________________________________________

Vivek Oberoi thinking of Aishwarya and Abhishek.

Pardesi, pardesi, jaana nehi

Ek haseen shaam ki kahani,
Raja ke haathon mein rani,
Ek zaalim sooraj loafer ki tarah pichhey paraa,
Bayen se kisi kaminey ki seeti,
Dayen mein pallu pichhey koi thahakey chada.
Bedard shaam, dusman duniya,
Haseena ko haath liye kisi chhaawni mein main chala,
Kuchh meethi baat karenge,
Ek duje ko aankhon mein lenge.
Lambi kwahish thi,
Do chaar lamhe yun hi saath guzaroon,
Do chaar yadon ko kismat sey churaoon,
Ki kal jab nazrein kuchh kamzor parengi,
Chandi ke bartan sa ghiskey yahdoon ko chamkaoon.

Karah raha hai aaj woh shaam,
Chandi ka chamak aaj pheeka hai,
Kamzor yaadein kuch na seekha hai,
Shaayad.
Shaayad kehin sey mere kaano mein kuch goonja hai,
Woh door galiyon ki deewaron sey takrati kisi Alka ki vaani,
Yadoon mein jawani, kisi bedardi ki kahani,
“Pardesi, pardesi, jaana nehi”
Jana nehi.

Aishwarya ki choli, mere dil mein rangoli

Ek hansta pari meri aankhon par aa baitha,
Uski aankon mein ek ajab si khushi thi,
Mano aandhi mein parinda ek ghonsla dhoonda ho,
Mano Savitri sa Jum ke paley se kisi pyarey ko chhuraya ho,
Mano jungal mein koi hirni apney navjaat ko chhupaya ho,
Usi khushi ki jhalak aaj diwali mein sajti hai,
Holi ki rangon mein aasman mein udti hai,
Kisi aashiq ke dil ke khoon mein khoulti hai.
To lo, aaj diwali hai, aaj holi hai,
Laal mein rangi kisi dulhan ki doli hai,
Jee haan,
Is kehani ki chamak Aishwarya ki choli hai!